Chand Ka Tukda Song Lyrics – Tony Kakkar

Hello, Namaskar aur Sat Shri Akal Doston! Aaj Hum Baat Karenge Chand Ka Tukda Song Ki.

Kya Aapko Pata Hai Tony Kakkar Ne Is Gaane Ko Gaaya Hai.

Aapko Jaan Kar Hairani Hogi Ki Gaane Ke Singer Tony Kakkar Ne Khud Hi Is Gaane Ke Bol Bhi Likhe Hai.

Aakash Rijia Ne Is Gaane Ko Music Diya Hai, Aur Tony Kakkar Ne Hi Is Gaane Ko Compose Kiya Hai.

Chand Ka Tukda Song Lyrics

Chand Ka Tukda Lyrics

Duniya kehti tumko chand ka tukda
Duniya kehti tumko chand ka tukda
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Ke chand tumhara hai tukda

Duniya kehti tumko chand ka tukda
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Ke chand tumhara hai tukda
Duniya kehti tumko chand ka tukda

Ghar se na niklon tum kabhi bhi shaam ko
Bhul jayenge log dekhna chand ko
Bina shringar kitna chehre pe noor hai
Mehkhano mein bhi nahi wo naino me suroor hai
Naino mein suroor hai

Nahi dekhna taj mahal ab
Dekh liya tera mukhda
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Ke chand tumhara hai tukda
Duniya kehti tumko chand ka tukda

Sooraj ki laali teri hontho pe rehti hai
Nadiyan deewani tere ashko se behti hai
Sangmarmar sa badan khuda ne taraasha hai
Tujhe kya pata tera samandar bhi pyasa hai
Samandar bhi pyasa hai

Shringar ki nahi zaroorat kitna sundar mukhda
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Na samajh hai wo unhe pata nahin
Ke chand tumhara hai tukda
Duniya kehti tumko chand ka tukda
Chand Ka Tukda Video Song

Chand Ka Tukda Song Ki Jaankari
Gaana:– Chand Ka Tukda
Gaayak:– Tony Kakkar
Composer:– Tony Kakkar
Lyrics:– Tony Kakkar
Music:– Aakash Rijia